Mere sawalon ka silsila,akhir kab khatam hoga?
Mere chand sawalo ke jawab kaun dega?
Sochti hu har pal ki tufan ab thamega,
Khatam hui har uljhan, sayad dil ye kahega.Kyu khtam nai hoti meri jindagi ki paheli?
Mere chand sawalo ke jawab kaun dega?
Sochti hu har pal ki tufan ab thamega,
Khatam hui har uljhan, sayad dil ye kahega.Kyu khtam nai hoti meri jindagi ki paheli?
Kyu pati hu mai khud ko itni tanha aur akeli?
Kab jindagi mujhpe ehsan ye karegi?
Sabra ka imtihan akhir kab tak ye legi?
Ek din yu hi ek khayal man me aya,
Dil ko jaise ek sukoon sa aya.
Jindagi mein phir se sawera aya,
Sahi mayne mein jindagi ka aksh najar aya.
Har dhundh k piche subah ki agaj hoti hai,
Nakamyabi k bad aksar kamyabi ki suruat hoti hai.
Sach hai ki dar k age hi to jit hoti hai,
Ho irade buland to phir kahan har hoti hai.
Doston ye uljhane kabhi humse badi nai hoti,
Gam hi khusiyon ka ehsas hai dilati.
jindagi ka har lamha apne sang hai naye rang lati,
Jiyo ise harpal kyuki jindagi hamen bar bar nai aati.