kyu khatm nahi hoti meri zindagi ki paheli : Beautiful Hindi Poem

Mere sawalon ka silsila,akhir kab khatam hoga?
Mere chand sawalo ke  jawab kaun dega?
Sochti hu har pal ki tufan ab thamega,
Khatam hui har uljhan, sayad dil ye kahega.Kyu  khtam  nai hoti meri jindagi ki paheli?

Kyu pati hu mai khud ko itni tanha aur akeli?
Kab  jindagi mujhpe ehsan ye karegi?
Sabra  ka imtihan akhir kab tak ye  legi?

Ek din yu hi ek khayal man me aya,
Dil ko jaise ek sukoon  sa aya.
Jindagi mein phir se sawera aya,
Sahi mayne mein jindagi ka aksh najar aya.

Har dhundh k piche subah ki agaj hoti hai,
Nakamyabi  k bad aksar kamyabi ki suruat hoti hai.
Sach hai ki dar k age hi to jit hoti hai,
Ho irade buland to phir kahan har hoti hai.

Doston ye  uljhane kabhi humse badi nai hoti,
Gam hi khusiyon ka ehsas hai  dilati.
jindagi ka har lamha  apne sang hai naye rang lati,
Jiyo ise harpal kyuki  jindagi hamen  bar bar nai aati.

Leave a Comment